Sunday, October 4, 2009

Us Andhee Mohabbat kay naam

Us andhee mohabbat kay naam,
jo mai tujh say kar baithi ..

teri khokhali
chahaton kay sumander
mai aisee dhoobi
kay sab kuch gawa bathi..

tum mangtay
khoon ki aik boondh
tu mai nadiyan baha daiti ..

tum nay har cheez mai
rang bharnay sikhay ..
aur mai un rangon mai
ghum ho kar
har zakham ko haseen
bana bathi

tum khwab dekhatay gaye
aur mai sari zindagee
ka naqsha bana bathi ..

Us kalay asmano ko
neela bana bathi
us sookhi zameen
ko sar sabz bana bathi

jab phainka phir tunay
un nazuk khawabo
ko asmaa say zameen par

nadanee mai
un kankeron
ko samayt kar
teri bachi howe
mohabbat
bana baithi

abb jabb
palat kay dekhti hoon
tu ankhain hoti hai num
nazer ata hai
aik adhoora sa jeewan
tootay phootay waday
Ujaray sab ..
khwab aur khwahishain.

Waqt nay aisa
sitam kiya
kay..
wohi tum ho
wohi hum
wohi duniya
lakin
hazaron sadiyon
kay faslay
darmiyan hain

woh rastay bhi ab
haseen nahi rahay
jo tum tak jatay hain ..

abb na khwab baqee hain
na he koi tamana dil mai

Abb aik sahil par tum ho
aur mai dooseray par ..
kaisey aaon us paar ...

jab paniyon mai
sari khastiyaan he
jul baithin

Kia andhee mohabbat thi woh ..
aye adaam zaat
kay
teray peechay
deen duniya kia
mai khud ko
aur khuda ko bhi
gawa bathi ...


( Inspiration derived from old 'JUNOON' songs)

3 comments:

Ubaid said...

VEHSSHIII!!!

<3

~* Dia *~ said...

i hope u mean "Vehshi" in a good way :P

Umair S Tabassum said...

nice, very nice indeed.....basically the reason why i liked it was i could relate to it....